Maa

Maa

Poetry
28 May, 2020

Maa – Mother  

Duniya ki sabsee haseen muskan uski hai.
Mere liye toh voh he sabse khoobsurat hai
Unsey zaada meri aur koi meri fikr kar Nahi sakta.
Mere ghar se nikaltey waqt voh har baar yaad dilati hai wahi baat voh har roz dohrati hai
Aaram se jaana. Pohanch jau toh phone kardena. Dua yaad se padhna.
AllahHafiz.

Jisey mai aakaey sabsey pehley zoorse awaaz laga ti hoon
Bhaley he koi kaam na ho unsey
Pr unka gharpe hone ka ehsaas
Unki maujoodgi sabse zaada zaroori hai.

Sukoon milta hai unki baahon mai.
Unkey aagosh mai har mushkil aasan lagti hai.
Mere peshani pr chum kar voh jaisey har bimaari ka ilaj kardeti hai.

Uska pyaar kuch khaas hai.
Beinteha aur belaus hai.
Na koi shart aur ehsaan ka
Jo saaf aur sacha hai.
Ye voh pyaar hai Jo kabhi kam nahi hoga.
Na kabhi dhoka aur ruswai dega.
Na koi shikayat na matlab ka hai
Unki mohabbat beshumar hai.

Gussa unka hitler se kam nahi.
Kabhi kabaar voh thodi Pareshan hojati hai.
Gusse mai kaafi kuch suna deti hai.
Galti badi ho toh haath aur kabhi jhaadu se kaam chalati hai.
Aur baat bandh kar ke naarazgi batati hai.
Apni ehmiyat ka ehsaas dila kar voh maaf bhi kar deti hai.

Mere musibat ki saathi
Meri kamyabi ka raaz hai.
Aakhri tukda cake ka voh mere liye rakhti hai.
Mere khatir duniya se lad jaati hai.
Uski godh mai aaj bhi chain ki nindh aati hai.
Unkey khadmo mai Jannat basti hai
Voh Maa Hai
Mere namaujudgi mai bhi laakho dua’e karti hai.

By : Ayesha Kazi
AK.

Connect with Life Cornify on social media channels

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

You might also like