Azadi main hm Qaidi

Azadi main hm Qaidi

Poetry
26 Jun, 2020

Azadi main hm Qaidi
Suna hai hmarey yahan anekta mein ekta hai
pr hrr dekhney valey ko kuch aur hi manzr dikhta hai
Saat rang sirf aasman mein ek saath dikhtey hain
pr yhan gaur krein to hr tarf bikhrey sey hain ..

Ek ghar sey ksba, ksbey sey shehr aur shehr sey mmalik
insaan key hi bnaye hain,
vrna gaur krein to yeah sb ek dhrti ki goud mein samaye hain….

Qaid main pehley hm sb ka ek hi surr taal tha
hm mein ekta thi aur ekta mein hm they …

Lekin Qaid sey aazadi tk sb haal badal gaye
jo bhi ek surr they sb bikhar gye …
Ekta mein hi jb yeah anekta ki baat aagyi
to aaney valey tufaan pey sunsaani chaa gyi …

Jo hmara haal vo mazi sey anjaan tha
hmara mustakbil likhney vala vahi insaan tha …
Zameen key iss tukdhe sey us tukdhe tk
jaane ko bhi matbhed hain…
Lgta hai aazaad ho kr bhi kahin hm Qaid hain ……….
Azadi main hm Qaidi

Hindi Version


आज़ादी में हम क़ैदी
सुना है हमारे यहाँ अनेकता मैं एकता है
पर हर देखने वाले को कुछ और ही मंज़र दिखता है
सात रंग सिर्फ आसमान में एक साथ दिखते हैं
पर यहाँ गौर करें तो हर तरफ बिखरे से हैं!!

एक घर से क़स्बा, क़स्बे से शहर और शहर से ममालिक
इंसान के ही बनाये हैं
वरना गौर करें तो ये सब एक ही धरती की गोद मे समाये हैं!!

क़ैद में पहले हम सब का एक ही सुर्र ताल था
हम में एकता थी और एकता में हम थे !!

लेकिन क़ैद से आज़ादी तक सब हाल बदल गए
जो भी एक सुर्र थे सब बिखर गए !!
एकता में ही जब ये अनेकता की बात आगयी
तो आने वाले तूफ़ान पेय सुनसानी चा गयी

जो हमारा हाल वो माज़ी से अनजान था
हमारा मुस्तकबिल लिखने वाला वही इंसान था
ज़मीन के इस टुकड़े से उस टुकड़े तक
जाने को भी मतभेद हैं
लगता है आज़ाद हो कर भी कहीं हम क़ैद हैं
आज़ादी में हम क़ैदी ✍️

Comments

Astha

Beautiful lines 👏🏻👏🏻

Reply
Veerthpal Singh

Wonderful 👌👌

Reply

Leave a Reply to Astha Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

You might also like