An evolution in the era : Daur mein ek ertka
Kya kahen zindgi key baarey main …..
Yhaan kaiyun key dekhey hosley buland hain …
Har lamha kuch paaney ki umang hai …
Duniya bhar mein chaa jaane ka jnun hai ..
Par marr rha kahin Jo vo andr ka sakoon hai…
Apney buzarg kahtey hain ki samjh nahin paye
ki zmaney mein fark aaya kahan hai …
Jo sakun pahley tha vo gvaya kahan hai ….
Pahley duniya anjaan va gvaar thi
pr phir bhi khushgvar thi ….
Ab to jb sey smjhdar hogyi maano kuch bimaar hogyi ……..
Pahley hr baat ko sadgi sey suna aur smjha tha jata …..
Ab hrr us baat ko itna pecheda hey krdya jata …
ki kehny valey key paas
afsos key siva kuch khali nhi rh jata ……………✍️
An evolution in the era
Read Poetry and Quotes on our Instagram channel.
sharndeep singh
well done